Qayamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah yateem ka maal khaana hai


Hadees:

Qayamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah yateem ka maal khaana hai 

( Mustadrak 1447 Amr bin Hazam rd )

Note:
Allah ne hum ko is duniya hamare maa baap ke zariye bheja hai,maujuda duniya me aisa koyi nahi hai jo ye keh sakta hai ke mai bina maa baap ke paida huwa hoon,hamare zindagi me maa aur baap ka hona ye Allah ka hum par bahot hi bada ahsaan hai,kuch log khush naseeb hote hai jin ke saat unke maa baap unke saat ek lambi umar tak zinda hote hai,aur kuch badnaseeb hote hai jinke maa baap unhe bachpan me hi chod kar chale jaate hai,
Jinke maa baap bachpan me mar jaate hai unki jo piche reh jaane wali chize hai property hai aur tamam chize ye sab un yateem bacho ka hai is par kisi aur ka haq nahi,kiyunki ye yateem ab kamzor hai aur inka koyi sahara nahi raha to kuch log inkaa maal wa daulat china ne ki koshish karte hai,doston aisa karna bahot bada gunaah hai jaise ke upar ki hadees me kaha gaya hai ke Allah tala ke nazdeek sabse bada gunaah yateem ka maal khana hai ,bhayion aisa karne se bache aur khud par bhi aur un yateem bacho par bhi raham khaye,
Khud par reham kane ka matlab hai apne aap ko jahannam ki aag aur sabse badi baat Allah ke gazab se bachaye,Allah hum sabko amal ki toufiq aata farmaye.Ameen

doston yaha par mai aap logo se ek baat keh na chahunga ke jab tak aap ke maa baap zinda hai aur aap ke ankhon ke samane hai unki khidmat kar lo baad me ye mouka aap ko nahi milne wala agar unke marne ke baad aap unki yaad me poori duniya bhi sadaqa kar do ge to wo sawab nahi milega jo unke zinda rehte unki khidmat se milne wala tha.

Yateem Kisko Kehte hai?
Yateem us bache ya bachi ko keh te hai jiska baap mar gaya ho,Agar baap zinda hai aur maa mar jaye to us bache ko yateem nahi kaha jaye ga,Aur agar maa zinda hai aur baap ka intaqal ho jaye to us bache ko yateem keh te hai,

Akhir Kab Tak Ek Insaan Ko Yateem Kaha Jana Chahiye?
Agar kisi bache ka baap mar jaaye to use sirf balig hone tak hi yateem kaha jaa sakta hai,ek baar bacha balig ho gaya to use yateem kehna sahi nahi,maslan agar koyi 20/25 saal ka ladka ya ladki hai aur uske maa baap mar jaaye to aise ladke ya ladki ko yateem nahi keh sakte.

Is post ko apne doston ke saat share kare aur hamare saat social media par jud ne ke liye niche diye gaye links par click kare.

Inshaallah hum koshish karenge ki har Jumah 11am ko ek nayi post hadees ke mutalliq publish kare,updated rehne ke liye hamare blog ko follow zarur karle...JAZAKALLAH

Hamse judne ke liye follow kare:

Facebook
YouTube
Twitter
Instagram

To Contact Me
hafizullamujawar@gmail.com

Comments

Popular Posts