Qayamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah yateem ka maal khaana hai
Hadees: Qayamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah yateem ka maal khaana hai ( Mustadrak 1447 Amr bin Hazam rd ) Note: Allah ne hum ko is duniya hamare maa baap ke zariye bheja hai,maujuda duniya me aisa koyi nahi hai jo ye keh sakta hai ke mai bina maa baap ke paida huwa hoon,hamare zindagi me maa aur baap ka hona ye Allah ka hum par bahot hi bada ahsaan hai,kuch log khush naseeb hote hai jin ke saat unke maa baap unke saat ek lambi umar tak zinda hote hai,aur kuch badnaseeb hote hai jinke maa baap unhe bachpan me hi chod kar chale jaate hai, Jinke maa baap bachpan me mar jaate hai unki jo piche reh jaane wali chize hai property hai aur tamam chize ye sab un yateem bacho ka hai is par kisi aur ka haq nahi,kiyunki ye yateem ab kamzor hai aur inka koyi sahara nahi raha to kuch log inkaa maal wa daulat china ne ki koshish karte hai,doston aisa karna bahot bada gunaah hai jaise ke upar ki hadees me kaha gaya hai ke Allah tala ke nazdeek sabse bada gunaah yatee...
