Hadees kisi par Allah ki laanat na bhejo


HADEES: Kisi par Allah ki laanat na bhejo aur na Allah ke gaza ki badd dua do aur nahi dozakh ki badd dua do ( Abu Daood 4906 Samurah bin Jundub (rd) )

Allah Ki Laanat:
Aaj kal hum musalmano ka ye haal ho chuka hai ke hum chote se masalon par logon ko tum par Allah ki laanat ho keh de te hai,aur kehne se pehle kabhi ye soch te nahi ke mai jo keh raha hu wo kitna bada  jumla hai,aur mai jis par Allah ki laanat bhej raha hu kya wo wakayi Allak ki laanat ka mustaheeq hai ya nahi,
Hame chahiye ki hum sab se pehle har insaan ko insaan samjhe aur jo insaan hota hai us se galatiyan hoti hai aur agar koyi galati kar raha hai to hamara kaam hai use samjhana na ki us par Allah ki laanat barsa na,aur uske liye khub Allah se us ki magfeerat ki dua karna,hamara kaam bas itna hi hai. 

Allah Ke Gazab Ki Badd Dua:
Allah ka gazab bahot badi chiz hai,sabse pehle hame ye samaj lena chahiye ki Allah ne hum insaano ko barbaad karne ke liye paida nahi kiya,aur nahi Allah hum se nafrat karta hai,balke Allah to hum se bahot jyada mohabbat karta hai,lekin hum insaan choti moti baaton par ek dusare ko Allah ke gazab ki badd dua dena shuru kar dete hai,balke hona to ye chahi ye ke hum Allah se kahe ke "Ai Allah aaj jo tune muj par is insaan ke zariye jo muj par halaat laye hai ye sab mere gunahon ka natija hai aur meri bad aamaliyan itni bad gayi thi ki tune muje samjha ne ke liye muj par ye halaat laye hai"
Doston hame apni halat ke liye dusaron ko blame (kasoorwar) tehrane se bachna chahiye aur apni galti dhund kar use sudhar ne ki koshish karni chahiye.

Badd Dua Dena:
Hamara mijaz aisa ban chuka hai ke thodi si bhi baat saamane wale ki taraf se  hamare khilaf nikal jaati hai hai to hum fouran badd dua dena shuru kar dete hai,ye badd dua dene ki aadat alhamdulillah mardon me  to bahot kam hoti hai lekin Allah maaf kare hamari auraton me ye aadat kasrat se payi jaati hai,aapne bhi dekha hoga mai ne bhi dekha hai chote mote jagade hote hai lekin auratein haat utha kar badd dua dena shuru kar deti hai,ye jaahilana sulook hai aise karne se naa aap ka faida hai na samane wale ka nuksaan ulta aap hi Allah ki nazaron me gir jaati hai,mai apni maa bahno se guzarish karta hu ke aisa karne se bache aur sabr karne ki aadat daale,aur jis  kisi ne bhi aap ko takleef di hai us ko Allah ke havale kar de aur khud ki zabaan ko napaak karne se bache,Allah hum ko Amal karne ki toufiq ataa farmaye.Aameen




Inshaallah hum koshish karenge ki har Jumah 11am ko ek nayi post hadees ke mutalliq publish kare,updated rehne ke liye hamare blog ko follow zarur karle...JAZAKALLAH


Is post ko apne doston ke saat share kare aur hamare saat social media par jud ne ke liye niche diye gaye links par click kare


Hamse judne ke liye follow kare:
Facebook
YouTube
Twitter
Instagram

To Contact Me
hafizullamujawar@gmail.com

Comments

Post a Comment