Hadees: Kush naseeb hai woh shakhs jo doosron se naseehat haasil kare

                                    ( Ibne maaja 46 Abdullah bin masood )


Note:Allah tala ne har insaan ko har jaga maheer nahi banaya,agar koyi Doctor hai to uska ilm sirf mareezon ke ilaaj ka hoga,agar koyi wakeel hai to uska ilm sirf kanoon ka aur logo ko insaaf dilane ka hoga,aur agar koyi Aalim hai to uska ilm deeen ki maloomat tak mahdood hoga,Aaap ye kabi nahi dekho ge ke koyi doctor subah ut kar court chala jaye aur court room me behas karna shuro karde aur koyi wakeeel aisa nahi hoga ke hospital jaaye aur marizon ka ilaaj shuru karde,Aur koyi aisa Aalim nahi hai jo subah doctori kare aur shaam me wakalat kare,Illa Mashaallah koyi ek do aadmi ho sakta hai jo sabhi kaamo me maheer ho,
Hum sabko chahiye ki hum apna zarf bada rakkhe,agar koyi doctor kisi wakeel ko salah de raha hai ke aap jyaada meetha mat istamal karo to wakeel ko chahiye ki doctor ki salah par amal kare naake us se kahe mai itna bada wakeel hoon aur tu muje salah de raha hai,
Aur isi tarha agar koyi Aalim hai aur use kabi doctor ke paas jaana pade aur doctor unko koyi salah de to Aalim sahab ko unki salah par amal karna chahiye na ke unko apna martaba batana chahiye,haan lekin ye zaroor dekhe ki jo bhi aapko mashwara de raha hai wo shariyat ke hudood ke andar ho,

Ab doston hum musalmano ki sab se badi pareshaani ye hai ke hum doctor jo kehta hai us par amal karte hai,wakeel jo keh ta hai us par amal karte hai,lekin agar koyi Aalim e Deen hum ko koyi mashwara de to hum us par amal nahi karte,misal ke liye agar koyi Aalim sahab aap se kahe ke shaadi saadi karo, ya tv games tik tok me fuzool me waqt ko barbaad mat karo to hum bajaaye unki baat par amal karne ke unhi ko deen ka gyaan dena shuru karte hai,doston hame aisa karne se bachna chahiye aur hamare pyaare nabi sallallahu alaihi wasallam ki upar likhi huyi is hadees par amal karna chahiye,

Doston koyi aap ko salah ya mashwara de raha hai to usko apni Sa`adat samaj kar sunnana chahiye,aur saamane wale ko chota aur khud ko bada samaj ne se bachna chahiye 

Allah hum sabko chota ban kar zindagi guzaar ne wala bana ye aur deen o duniya ki sahi samaj ataa farmaye.Ameen

Is post ko apne doston ke saat share kare aur hamare saat social media par jud ne ke liye niche diye gaye links par click kare

Inshaallah hum koshish karenge ki har Jumah 11am ko ek nayi post hadees ke mutalliq publish kare,updated rehne ke liye hamare blog ko follow zarur karle...JAZAKALLAH

Hamse judne ke liye follow kare:
Facebook
YouTube
Twitter
Instagram

To Contact Me
hafizullamujawar@gmail.com

Comments