Hadees: Jo shakhs tumhaare saath khayaanat kare to tum us ke saat khayaanat na karo
(Abu daood 3535 Abu Hurairah rdNote: Allah tala ne hame insaan bana kar paida kiya hai,ye Allah ka hum par bahot bada ehsaan hai hame emaan ki daulat aur musalman hone ki izzat gift me de di hai,lekin aaj ka musalman emaan ko majboori aur muslim hone par afsos karta hai Allah hame aisi gandi soch rakhne se hifazat ataa farmaye.Ameen
Khayaanat:Doston khayaanat do tarha ki hoti hai ek hai insaan ke huqooq me khayaanat karna aur dusara hai Allah ke huqooq me khayaanat karna
Insaano Ke Saat khayaanat:
Agar aap shohar hai to biwi ko dokha dena,waqt na dena,bila waja marna,galiyan dena,uska wo maal jo use virasat me apne baap se mila hai us maal ko hadapna, ye aur baaqi saare wo kaam jo shariyat ke khilaaf hai wo saare khayaanat me dakhil hai ,isi tarha logo ka maal khana,jhoot bolna,zameen hadapna haq na adaa karna,behan ka haq khana,etc ye saari chize khayaanat me shamil hai,Allah hum sab ko logo ka haq biwi ka haq shohar ka haq adaa karne wala banaye.
Allah Ke Saat Khayaanat:
Allah ne hame jaan di maal diya Rehne ke liye ghar diya pehanane ke liye libaas diya itna hi nahi sar se lekar pair tak piche se lekar aage tak upar se lekar niche tak jo kuch bhi hai sab kuch Allah ka hai, In sab chizo ko de kar Allah ne hum se sirf rozana kam se kam paanch paanch minute din me paanch martaba namaz adaa karne ke liye kaha lekin hum aise baieemaan aur khudgarz hai ke itna chota saa waqt bhi Allah ko deno ko taiyyar nahi,Allah hamari in kotahiyon ko maaf farmaaye aur hame paanch waqt ki namaaz ba jamat padne wala banaye.Ameenisi tarha roza chodna,zakat adaa na karna,maal hone ke bawajud hajj na karna,ye sab Allah ke haq me khayaanat karna hai.
Is post ko apne doston ke saat share kare aur hamare saat social media par jud ne ke liye niche diye gaye links par click kare
Inshaallah hum koshish karenge ki har Jumah 11am ko ek nayi post hadees ke mutalliq publish kare,updated rehne ke liye hamare blog ko follow zarur karle...JAZAKALLAH
Hamse judne ke liye follow kare:
YouTube
To Contact Me
hafizullamujawar@gmail.com


Comments
Post a Comment