Hadees:Jo aurat bila wajah apne shohar se talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai

Note: Miya biwi ka rishta ek aisa rishta hai jo ek lafz kehne se mout tak jud jata hai aur ek hi lafz kehne se hamesha hamesh ke liye toot jata hai,isliye Allah tala ne talaq ka jo haq diya hai woh shohar ko diya hai kiyun ke biwi ( aurat ) ka mijaz choti choti baat par jagad ne ka hota hai aise me agar kabi kisi baat par biwi ka shohar ke saat jagda ho jaye to biwi fouran apne zaban se talaq ka lafz nikal de gi is liye Allah tala ne ye haq sirf mard ko diya hai
Doston aaj kal ye dekhne me araha hai ke ladkiyan chote chote masalon par talaq manga na shuru kar de ti hai misal ke liye,mere ek kareebi ek dost hai mashaallah mai unko bahot ache se aur bahot salo se jana ta hu unki biwi ne unhe mobile na dene ki waja se talaq deno kaha,hala ki wo bahot maldar hai alhamdulillah wo ek kya dus mobile dila sakte hai lekin unka apni biwi ko mobile na dene ka asal wajah unka deeni mijaz aur sahi taalim hai,
Isiliye doston mai aap sab se jo ye blog padhen ge unse guzarish karta hu ke apni betiyon ko duniya vi uloom ke saat saat deeni ki bhi taalim de aur apne mashgool waqt apni betiyon ko har din thoda waqt zaroor de Allah hum ko sahi samaj aata farmaye.


Is post ko apne doston ke saat share kare aur hamare saat social media par jud ne ke liye niche diye gaye links par click kare. 



Inshaallah hum koshish karenge ki har Jumah 11am ko ek nayi post hadees ke mutalliq publish kare,




Social Links:
Instagram
Twitter
Facebook
YouTube

Comments